Sunday, 10 July 2016

Farz namaz aur Sura-e-Fatiha

Question:
4 rakh wali farz namaz me sura-e-Fatiha padna zaruri hai ?

Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Surah Fatheha padhna, yani iski sathoun(7) ayathen ky har ek ayath mustakil vajib hai un me ek ayat balke ek lafz ka tark bhi tarke wajib hai (Bahar-e-Shariat, Jild-1, Hissa suwam).

Lihaza, 4rakath farz namazoun ke peheli 2 rakathoun me aur nafl wo witr ki har rakath me Surah fateha aur uske saat surah padhna zaroori hai (Qudoori, Bahar-e-shariat).

Allahu alam va Rasoolullah alam azzawajalla va sallallahu alaihiwasalam.

0 comments:

Post a Comment