Monday, 11 July 2016

Second time Umrah karte waqt sarke baal kitna katwana hai

Question:
Asalam O Alaycum.
Alhumdulillah aik bar may umrah kar kay ayya hon or ab second time irdha kia hay kia may is dafa poray sar k baal katwaooun yani (ganja hona) ya is dafa thoray baal cutting karwa sakta hoon ya pori tarha Ganja hona condition hay umrah k liyee please reply me.

waslam o alaycum.

Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Aap ke Pehle Umrah ki mubarak badi aur dusre keliye duwago houn moula aap ki hifazat farmaye aur aapke Umare ko qubook kare- Aameen.

Aur aapke sawaal ka jawaab ye hai ke aap ko iktiyaari hai ke aap Pure baal mundwayen ya thoday baal cut karen.

Masla ye hai ke Umrah ya Hajj me fiqah-e-hanafi ke nazdeek, Aurathoun ko baal mundwana Haraam hai aur mardon ko Ikhtiyaar hai ke Halaq (ganja) karen ya Takseer (thode cut karen). Magar Afzal ye hai ke Halaq karen kyun ke Huzoor sallallahu alaihi vasallam ne Hajjatul wida me Halaq karaya aur sar mundane walon keliye Duwae Rehmath 3 baar farmayi hai aur katarwane walon keliye 1 bar. (Bahar-e-Shariat, Jild-1, Hissa 6).

Allahu alam va Rasoolullah alam azzawajalla va sallallahu alaihiwasalam.

0 comments:

Post a Comment