Monday, 11 July 2016

Khawateen ki iddat aur Qaza Namaz aur Esale sawab

Question:
Asalam-O-Alaycum,

1- Khawateen ki iddat ka baray may tafseel say bataiyee.
2-kia may Qaza Namaz jesay Daily ki sunatoun ki jaga parh sakta hoon (yani Zuhar ki 4 sunnatoun ki jaga 4 qaza k faraz parhay ja saktay hain.
3-walid ki wafaat k baad bahtareen e-sal-e-sawab kia ho sakta hay


Answer:
Assalaamu alaikum va rahmatullahi vabarakatuhu

Aap ka sawaal mousool huwa aur jawaab hazir hai

1: Khawteen ki iddat ke bare me aap "Bahar-e-Shariat" ka Hissa 8 dekhen.
2. Nahi Sunnat-e-Muakkida ka hukm to vajib ke qareeb hai, aur Sunnat-e-gair muakkida bhi chodne ka adath na banaye.
3. Walidain ki wafaat k baad behtareen Isaal-e-sawaab Hadith-e-paak me aya hai ke: validain ke naam ka Sadaqa, aur nek aulaad (yani: aap nek bane, Namaaz aur Quraan ki tilavat karen aur unko Isaal karen) aur aulaad maa baap keliye magfirat ki duwa karna (yani: Aap unke liye duwa karen).

Allahu alam va rasoolullahi alam azzavajalla va sallallahu alaihi vasallam

0 comments:

Post a Comment