Monday, 11 July 2016

Question:
Asalamualykum, Hamarey shaher(Gaon) me aisa bahoot dino se chala aaraha hai ke, Bakra/Bakri ko Musalman zibha karte hai kasayie khane me aur inko thodey Hindu kasayie lekar dosron ko bejtey hai, Kya aisey kasaiyun se khana jaiz hai?

Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Sawaal clear nahi hai. Bahar-e-Haal, Masla bayaan kardeta houn. Jawaab usi me shamil hai.

Agar, Bakra/Bakri ko Musalman zibha karte hai kasayie khane me aur inko thodey Hindu kasayie lekar dosron ko bejtey hai.
i. Yahan Is kafir kasayie se kharidna -Jaiz nahi hai.Haraam hai. Kafir ka kehna ke yeh vahi bakra ya vahi gai hai jo musalmaan ne zubah kiya tha nahi mana jayega. Agar waqt-e-zubah se waqt-e-kharidari tak muslmaan ki nigah se qaib na huwa ho, koi na koi musalman jab se ab tak use dekhta raha ho jis se us par itmenaan hai ke yeh wohi janwar hai jo muslamaan ne zubah kiya ta to kharidari jaiz hai.

ii. Agar suwaal ye tha ke: Us muslaam kasayie ke pakane wale khane ko khana kaisa hai to ye jaiz hai.


ALLAHu alam Va Rasoolullah alam azzavajalla va sallallahu alaihi vasallam.

0 comments:

Post a Comment