Monday 11 July 2016

Machliyo khane ke mutaliq

Question:

Assalamu Alaikum

Sawal:- Machliyo ko konse Nabi ne Zibah kiya aur Kis Tarah kya ghair muslim ki hotel me ya Ghair Muqallid ki hotel me Machliya khaa Sakte hai iska Sharai Hukm kya hai??? Islah farmae

Taalibe Dua Shadab Quadri

Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Hanafiya ke nazdeek samundari janwaron me se bagair zibah kiye huwe machliyan khasakte hain. Kyun ke Iska zuba nahi hota lihaza Gair muslim ya Gair muqallid ke hotel me khasakte hain, albatta bachna behetar hai.

Related to Kis Nabi ne machli ko zuba kiya hai?
Answer: La Adri! (Hame nahi maloom)

Allahu alam va Rasoolullah alam azzawajalla va sallallahu alaihiwasalam.

Quraan Afzal hai Ya Huzur Alaihissalam

Question:
Assalamu Alaikum

Sawal:- Kisi ne mujhse sawal kiya ki Quraan Afzal hai Ya Huzur Alaihissalam to ab mai use kya jawab du???


Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Uluma ke Nazdik ikhtelaaf hai ke Quran afzal hai ya Nabi kareem Sallallahu alaihivasallam. Mazeed Ala Hazrath ne farmaya hai ke:

Is ki 2 Jihaten hain:

1. Agar Quran-e-Shareef ko aap paper and Ink ke aitebaar se lenge to ye to Maqlook hai, aur har maqlook Hadis hai aur mere Huzoor Sallallahu alaihivasallam har maqlook se Afzal-o-Ala hain.

2. Dusri Jihat, agar Quran-e-Shareef ko Allah tala ke Kalaam ke aitebar se Sifat-e-Ilahi len to ye Maqlook nahi hain woh Qadeem hai aur Uske har sifaat Qadeem hai, to is jihat ke aitebaar se Quran Afzal huwa Nabi kareem Sallallahu alaihivasallam se.

Isiliye Alahazrath ne farmaya ke agar koi Ulama Quran Afzal kahen to unho ne 1st Jihat ke aitebaar se fatwa diya aur koi Nabiy-e-kareem sallallahu alaihivasallam afzal kahen to 2nd jihat ke aitebaar se hai. (Jaddul Mumtaar ala raddul Muktaar ala durre Muktaar )

Allahu alam va Rasoolullah alam azzawajalla va sallallahu alaihiwasalam.

Ghair Muslim ke ghar Dawat par jana kaisa ya Unke ghar ka khana peena kaisa

Question:
Assalamu Alaikum

Sawal:- Ghair Muslim ke ghar Dawat par jana kaisa ya Unke ghar ka khana peena kaisa?? Rehnumai farmaye...

Answer:
Wa alaikum mussalam,

Jawab: Ghair muslim se kharida ya tohfe Ya Dawat me paya gaya NON-Veg to qatai haram hai or baki raha Veg food to wo haram to nahin phir bhi behtar hai khane se bacha jaye....jahan tak ho saky Ghair Muslims se doori hi rakhe.

is sawal par Shah Turab-ul Haq Qadri Sahab ka audio jawab is link per aap sun sakhte hai

https://ahfbayan.wordpress.com/2015/09/03/ghair-muslim-ke-ghar-me-khana-kaisa/

Allahu wa Rasoollaho Alam (Azzawajal wa Swallallaahu alaihi wa sallam)

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Answer from AHF Admin team under guidance of Ulema-e-Sunnat

UMAIMAH rakhna kaisa hai

Question:
Assalamu Alaikum

Sawal:- Allhamdulillah Allah ne mujhe Bacchi se nawaza masla ye hai ki mai uska naam UMAIMAH rakhna chahta hu maine Naam Ki kitabo me padha ki ye naam Huzur Alaihissalam ki saggi Phoofi ka tha lekin kayee jagah aaya hai ki inhone Imaan laaye aur kahi jagah aaya ki nahi laaye to iss naam ka rakhna durust hoga hazrat rehnumai farmaye???


Answer:
Aapka Sawaal mousool huwa jawaab hazir hai:

Hadith se paak me hai ke apne bachon ke naam ache rakhen". Ache naam rakhen aur Umaimah naam rakhna jaiz hai.

Allahu alam wa rasoolullahu alam azzawajallah wa sallallahu alaihi vasallam.

Qaza kasr kaise pade

Question:
Assalamu Alaikum

Sawal:- Agar hum safar me ho aur humari namaz kaza ho jaye to uss namaz ko wapas ghr wapas aakar adaa kar sakte hai ya nahi??? ki qasr me hi adaa karni hogi

Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Agar koi shaks(Musafir) safar me hai aur us ki namaaz khaza hogai (Na'auzubillah) to us ko jaldi se kaza

karleni hai; kahan bhi ho sake, to safar me jab bhi maouk(jald az jald) mile warna ghar wapas loutne par.

Bahare haal Kaza padhni hai. Ab raha sawaal ye ke Aagar Ghar pe aajayen to jo Musafir ke halat me namaaz chuti hai usko kis tarah padhenge? to Kaidah ye ai ke: " Jo namaaz jaisi fout hui us ki kaza waisi hi padhi jayegi".

Example: Safar me namaaz kaza huwi to 4 rakath wali 2 hi padhi jayegi agarchen aqaamath me padhe.
aur agar halate aqaamath me fout hui to 4 rakath wali 4 hi padhi jayegi agarchen safar me padhe.

Allahu alam va Rasoolullah alam azzawajalla va sallallahu alaihiwasalam.

Hanafi Mazhab k hisab se aurto ko kin namazo ko baithkar padhne ka hukm hai aur kin kin haalat me

Question:
Assalamu Alaikum

Sawal: Hanafi Mazhab k hisab se aurto ko kin namazo ko baithkar padhne ka hukm hai aur kin kin haalat me???

Taalibe Dua SHADAB QUADRI

Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Farz aur wajib namaaz kade hokar padhen, aurathen bhi khade hokar padhen; agar pait kar padh chuke hain to farz aur vajib jitni namaazen padhi hain un sab ki Qaza karen aur touba bhi karen.

Bila Uzr sunnaten moaqidah (ex: taravih ki namaaz) bait kar padhna makrooh hai balke baz fuqah ikraam ke nazdeek to namaaz hoti hi nahi.

Mard aur aurath nafil namaaz bila uzr pait kar padh sakte hain magar kade hokar padhne me dugna sawaab hai.

Agar khade hokar namaaz nahi padh sakta ke marz badh jayega ya der me achcha hoga ya chakaar ata hai ya khade hokar padhne se peshaab ka qatra aayega ya bahut shadeed dard na qabil-e-bardasht hojayega to unsab surathon me pait kar namaaz padhen.

Agar qadim ya lati ya devaar wagaira par teklaga kar khada ho sakta hai to farz hai ke khada hokar namaaz padhe. Is surath me agar pait kar namaaz padhega to nahi hogi.

Agar kuch der bhi khada ho sakta hai agarchen itnahi kada ho "ALLAHU Akbar" kehle to farz hai ke kada hokar itna keh phir baite varna namaaz na hogi.

Allahu alam va Rasoolullah alam azzawajalla va sallallahu alaihiwasalam.

Kya istype ka nikha howa

Question:
Assalamu Alaikum

Sawal: Ek shaksh kisise muhabbat karta tha to usne Nikah karna chaha Nikah usne iss tarah kiya ki ek ghar me 4 log baithe jismese 2 ko gawah banaya gaya aur fir jo Ladka (Dulha) tha usne Ladki (Dulhan) ko phn kiya aur izazat maangi ki humara nikah is tarah se kiya jaa raha hai to kya isme aapki izazat hai aur maher 786 rakkha gaya h to us ladki ne izazat dee fir ek shaks ko uss ladki ki jagah bithaya gaya aur ladke se eijaab kiya gaya fir dusre din ladke ne jaakar uss ladki se Qubul ka poocha waha koi gawah maujud naa tha to kya Nikah ho gaya???

Answer:
Wa alaikumussalaam va rahmatullahi vabarakathuhu, Aap ka sawaal mousool huwa Jawaab hazir hai:

Is tareeqe par kiya gaya Nikha Nahi huwa.

Note: Nikha ke Sharaith me se ye hai ke: Miya biwi ka do gawahoun ke samne jo mard houn, ya ek mard aur do aurathen jo Aqil-o-balig houn .

Allahu alam va Rasoolullah alam azzawajalla va sallallahu alaihiwasallam.